Duniya ne ham pe jab koi ilzaam rakh diya
Ham ne muqaabil us ke tera naam rakh diya
Ek khaas had pe aa gai jab teri beruqi
Naam us ka ham ne gardish-e-ayyaam rakh diya
Main laD_khada raha hoon tujhe dekh-dekh kar
Tuney to mere saamane ek jaam rakh diya
Kitna sitam_zarif hai vo saahib-e-jamaal
Us ne diya jalaa ke lab-e-baam rakh diya
Insaan aur dekhey bagair us ko maan le
ek khauf ka bashar ne Khuda naam rakh diya
Ab jis ke ji mein aaye vahi paaye raushni
Ham ne to dil jalaa ke sar-e-aam rakh diya
Kya masalahat_shanaas tha vo aadami 'Qateel'
Majabuuriyoun ka jis ne vafa naam rakh diya