Duniya main kuch Logh aisay bhi hotay hain!

**Duniya mein kuch logh aisay bhi hotay hain ,

Bhatakte hain pathrili raahon par
Maangtey nahin hain aasra
Chal parhtey hain manzil ki aur
Chahe jitna ho faasla
Paunchkar aansoo gair key ,
Khudh tanha rotey hain
Duniya mein kuch logh,aisay bhi hotay hain ,

Chhaanv mil jaaye kahin to
Kuch der so jaate hain
Fizaaon mein, Bahaaron mein
Aap hi kho jaate hain
Saare pal ummeedon bhare
Yaadon mein sanjoteyhain
Duniya mein kuch log, aise bhi hote hain

Toot jaate hain kabhi jo
Meethe meethe se khwaab
Poochte hain dil ke sawaalon se
Kya jaante ho jawaab
Bikhre moti batorkar
Tooti maala pirote hain
Duniya mein kuch log, aise bhi hote hain

Kabhi mil jaata hai naseeb se
Saathi kisi mehfil mein
To baant te rehte hai pyaar
Khushi mein, mushkil mein
Apni jaan dene ke liye
Uchhaalte sikke khote hain
Duniya mein kuch log, aise bhi hote hain

Gum ho jatay hain hamesha
Itihaas ki nazar mein
Jeet jaate hain haarkar bhi
Zindagi ke safar mein
Kinaare ko dhoondte dhoondte
Naav dubo detay hain
Duniya mein kuch logh,aise bhi hote hain
** Lamhay!

humm

[QUOTE]
*Originally posted by Azad: *
humm
[/QUOTE]

Ye humm kia chezz hua ? ya ye hmmm hai ?

wow bohat he Khobsoratlikha hai ...thanx 4 sharing :)

yeh aik 'm' jo aap ka ziyada hay .. karyalay ki waja say hay .. hum tehray khak nasheen ... humari faqa masti 'humm' say hi kam chala layti hay :D

:konfused:

aap kay level say opper ki baat hay .. zara onchi airri ka pehna karin na ;)

Beautiful...... thanks for sharing

Kuch log zamanay main asay behi to hotay hain
Hanstay hain tu hanstay hain rootay hain to rootay hain

Its really Gr8... Laikin..

Shayad Meri Kismat Kharaab hay..

Kuch Loag Zamany Main Aisay Bhi Tou Hotay Hain..

Mujhay Koi Naheen Milla abhi tak..... :(

[QUOTE]
*Originally posted by Golden_Scorpion: *

Mujhay Koi Naheen Milla abhi tak..... :(
[/QUOTE]

Dilsay hay na :D

Re: Duniya main kuch Logh aisay bhi hotay hain!

Bahut hi aa’laa Lamhay ji :k::k::k:

[QUOTE]
Originally posted by Golden_Scorpion: *
Its really Gr8... **Laikin..
*

Shayad Meri Kismat Kharaab hay..

Kuch Loag Zamany Main Aisay Bhi Tou Hotay Hain..

Mujhay Koi Naheen Milla abhi tak..... :(
[/QUOTE]

Kismaat tu meri bhi khair, kismaat hi tu mar deti hai
aur sab ko kismaat say gila hi hai !!

Thanks Dilsay , GS and Ab!

wah... its so beautifull.

khoob… :k:

VERY NICE

thanks sweety , sundalin and baziger !

zabardast