WiseGuy
1
Duniya kay maikaday maiN yeh kaisa wabaal hai
Jo rind sada dil hai talab say badhaal hai
Dil ko dukha kay milta hai kitnay Khuloos say
is fun main mera dost bohat ba’kamal hai
Mushabihat tu uskee kisi shay main naheeN hai
woh yaar mera hur taraH say bay misaal hai
Chaha hee nahee os nay mujhay TooT ker kabhi
Aadaat main bhi os kee baRa aitedaal hai
Rai kisi bhi baat main apni nahee Sajid
hai sub ka jo Khiyaal woh apna Khiyaal hai
niceeeee :k:
thanks for sharing 
Re: Duniya kay maikaday maiN yeh kaisa wabal hai
[QUOTE]
*Originally posted by WiseGuy: *
Dil ko dukha kay milta hai kitnay Khuloos say
is fun main mera dost bohat ba'kamal hai
Chaha hee nahee os nay mujhay TooT ker kabhi
Aadaat main bhi os kee baRa aitedaal hai
[/QUOTE]
bohat khoob WG.... thanks 4 sharing...lagta hia ap ki 3000 post ho jain ghi aik 2 week main ..:)
Jano jee aap ka saath aur duaain raheen to Insha Allah hur na mumkim mumkim ho sakta :french:
Re: Re: Duniya kay maikaday maiN yeh kaisa wabal hai
sehe kaha or mere keb ho ge yei bih batain nah 
haiN? aisay tu jano ka saya be sath nahi day gha ye ap ki halat rehi tu ..:)…mashoom jano ab itni be WISE nahi hai…
Azad
14
maikaday :love: … wah
naam say hi nasha ho jata hay 
yeh laal rang kab mujhay chorray ga …