Dunia Me Hon Dunia ka Talabgar Nahi Hon

**Dunia Me Hon Dunia ka Talabgar Nahi Hon
Bazar Se Guzra Hon Kharidar Nahi Hon

Zinda Hon Mgr Zeest Ki Lazzat Nahi Baqi
Hr Chnd K Hon Hosh Mein,Hoshiyar Nahi Hon

Is Khana-E-Hasti Se Guzar Jaunga Beloos
Saya Hon Faqt Naqsh-E-Deewar Nahi Hon

Wo Gul Hon Khizan Ne Jisy Barbad Kiya Hy
Uljhon Ksi DaMan Se Main Wo Khaar Nahi Hon

Ya Rab Mujhe Mehfoz Rakh Us Butt K SitaM Se
Main Uski Inayat Ka Talabgar Nahi Hon**

Re: Dunia Me Hon Dunia ka Talabgar Nahi Hon

**Dunia Me Hon Dunia ka Talabgar Nahi Hon
Bazar Se Guzra Hon Kharidar Nahi Hon

:k:

wo kisi ka qol tha na, duniya main aise raho jaise kashti pani main rehti hai.. pani ko kashti main mat aane do
**

Re: Dunia Me Hon Dunia ka Talabgar Nahi Hon

Nice........Barish mein kashti ka kia krna hy..........?

Kyu sari kashtiyan jala ke ayen hain Kia?

Re: Dunia Me Hon Dunia ka Talabgar Nahi Hon

kaghaz ki ho to baha do.. asli wali ho to kinare pe sahi se bandh lo....

Re: Dunia Me Hon Dunia ka Talabgar Nahi Hon

ye kon Tariq Bin Ziyad aa gaya iss daur main

Re: Dunia Me Hon Dunia ka Talabgar Nahi Hon

agar jala k aata to ye nhi pochta

Kashtiyan jala ke Anay se wapsi ke sare raste band Ho jatay hain.

App kashtiyan Nahi jala ke aye means ke wapas lout Jane ka irada hai :hmmm:

Re: Dunia Me Hon Dunia ka Talabgar Nahi Hon

aik chupa kr rakhi hy…baqi saari jala deen

hum ny bhi wapsi k rasty rakhy howay hyn…

Muqaw is bat pe Zara roshni dalay.

Re: Dunia Me Hon Dunia ka Talabgar Nahi Hon

wo roshni kahan sy daalyn gay........hum dono ka mushtarka masooba hy.....unki advice nhi parhi.......
**
kaghaz ki ho to baha do.. asli wali ho to kinare pe sahi se bandh lo....**

Re: Dunia Me Hon Dunia ka Talabgar Nahi Hon

Jigar muradabadi kii yeh Ghazal bahot Haseen hai. Jigar and my Dad had the same ustad, AsGhar GonDvii...aur ek aur mere gaaoN ke shaa'ir the vo bhii AsGhar saaHab marHoom ke shaagird the...yeh teenoN Hazraat aksar apne ustaad ke kalaam kii tazmeen kiyaa karte the...kabhii mauq'a milaa to maiN AsGhar saaHab kii Ghazal pesh KaruuNgaa aur uske ba'd teenoN shaagirdoN kii tazmeen pesh karuuNgaa...dekhiyegaa k in sab meN AsGahr saaHab kaa rang jhalaktaa hai aur ikdam numaayaaN hai.

Re: Dunia Me Hon Dunia ka Talabgar Nahi Hon

enter10 ne Aanch drame ki ulfat aunty wali baat ki hai.. iyan ne shart rakhi ke shadi ke baad job nahin karogi.. jab miyan se laRai hui to yeh keh kar ghar Chora ke main aaj bhi pane paon pe khaRi hoon.. kashti kinare pe hai aur meri job salamat

Mai na drame dekhti hoo na ulfat Aunty Ki janti hoo :mad:

Lol @ kashti kinare pe aur job salamat :smack:

Ghar tootay tou tootay per job na jaye :bummer:

Kashtiyan jalane se mera matlab ke aik raste pe kisi ke sath chalte chalte achanak u-turn Lena.

Re: Dunia Me Hon Dunia ka Talabgar Nahi Hon

U-turn lyna…or…U-turn lyny pay majboor krna

2 mukhtalif rasty hyn…