Kis se bantay ga wo apni sokhta jaani ka dukh
Fasl e gul mai jisko mil jaye khizan khwani ka dukh
Din ba din, lamha ba lamha maand parhtin surkhiyan
Chah gaya chehron pe akhir dil ki veerani ka dukh
Tishna kaam ankhon mai sooraj doobta umeed ka
Tan se lipta azdahay sa chaak damaani ka dukh
Ku ba ku qurya ba qurya aabla paayi ka gham
Har taraf, had e nigah, bay sar o samani ka dukh
Ye saraab e ashnaayi,ik azaab e dar azaab
Aor har dukh se siwa hai iski arzaani ka dukh!
Re: Dukh
acha hai!
Re: Dukh
Din ba din, lamha ba lamha maand parhtin surkhiyan
Chah gaya chehron pe akhir dil ki veerani ka dukh
Mushkilain Itnee pariii Muj pay Kay Asshaan Ho'gaain !
Achi kawish hai :) MashAllah
Re: Dukh
Lovely Ghazal…
bohat umda treeqay say har Dukh Ko Bayaan kiya hai App nay..
Bohat he Umddaa tahreer..:k:
Re: Dukh
ahh dukh … is ko sahnay mai bhi qudrat nay maza rakha hai … very nice ghazal :k:
Re: Dukh
bohut khoob
Re: Dukh
Din ba din, lamha ba lamha maand parhtin surkhiyan Chah gaya chehron pe akhir dil ki veerani ka dukh
Mushkilain Itnee pariii Muj pay Kay Asshaan Ho'gaain !
Achi kawish hai :) MashAllah
A mila khwab se khayal kahan!
Re: Dukh
Adaab! malika e aliya!
(and where is my inaam
a malika should throw her necklace out to me right?) ![]()
Re: Dukh
Oh no. not again. another saddist? or a true lover? whatever. Its a pure feminine expression. Most of my friends couldnt even detect the essence out of it. They simply found it abstract… intangible maybe…
So if u got that, i mean what i tried to say in the poem, that is my pleasure. thanks for the appreciation anyway ![]()
Re: Dukh
Lovely....
Re: Dukh
mirage,
diff themes here: homeless ness, helplessness, heart lessness or carelessness.
nice sharing.
best,
Dushwari
Re: Dukh
Aor har dukh se siwa hai iski arzaani ka dukh!
Its awesome :k: