Dukh kii lehar ne CheRa hogaa

dukh kii lahar ne chhe.Daa hogaa
yaad ne ka.nka.D phe.nkaa hogaa

aaj to meraa dil kahataa hai
tuu is vaqt aakelaa hogaa

mere chuume hue haatho.n se
auro.n ko Khat likhataa hogaa

bhiig chalii.n ab raat kii palake.n
tuu ab thak kar soyaa hogaa

rel kii gaharii sii.nTii sun kar
raat kaa jangal guu.Njaa hogaa

shahar ke Khaalii sTeshan par
ko_ii musaafir utaraa hogaa

aa.Ngan me.n phir chi.Diyaa.N bole.n
tuu ab so kar uThaa hogaa

yaado.n kii jalatii shabanam se
phuul saa mukha.Daa dhoyaa hogaa

motii jaisii shaql banaakar
aa_iine ko takataa hogaa

shaam hu_ii ab tuu bhii shaayad
aapane ghar ko lauTaa hogaa

niilii dhundhalii Khaamoshii me.n
taaro.n kii dhun sunataa hogaa

meraa saathii shaam kaa taaraa
tujh se aa.Nkh milaataa hogaa

shaam ke chalate haath ne tujh ko
meraa salaam to bhejaa hogaa

pyaasii kurlaatii kuunjuu.N ne
meraa dukh to sunaayaa hogaa

mai.n to aaj bahut royaa huu.N
tuu bhii shaayad royaa hogaa

‘Nasir’ teraa miit puraanaa
tujh ko yaad to aataa hogaa

(Nasir Kazmi)

Wah Nazish :k:
Hope you wont mind me adding in your post…!

Naam likh likh kar haathoon pe mera mitaata hai koi
Bahaanay bahaanay se mujhe sataata hai koi
Mujhe tu kabhi bhi jeenay ki khwaahish nahee rahi
Jaane kyo zindagi ke roop mein mujhe milne aata hai koi
Baad-e-saba kabhi tu meharbaan ho ke bata aaye tujh ko
Ke hijr mein tere aansoo bahaata hai koi
Tera milna na milna muqqadar ki baat sahi
Tujhe har roz magar Khuda se maangta hai koi
Yeh kaisi andhair nagri hai ke mere Khuda
Tu saamnay hai magar tujhe dhoondta hai koi
Chalo acha huwa zamaanay ko mauzoo tu mil gaya
Humein sata kar kitna muskuraata hai koi
Ab ke hamaari haar bhi jeet ki maanind hai ‘Tajjamul’
Humein haar ke bhi aksar pukaarta hai koi

wah bohot hee khoob… i luvved it :k:

:flower1:

Thanks A_e_R, that was beautiful.
thank you ayman.

Masha Allah

yeh Lahar kon hay jiss nay Nazish ko chairra hay??

Re: Dukh kii lehar ne CheRa hogaa

[QUOTE]
*Originally posted by ~Nazish~: *
shaam ke chalate haath ne tujh ko
meraa salaam to bhejaa hogaa

[/QUOTE]

W/Salaam ~Nazish~
Bohat khoob,
Thanks for sharing :)

very nice...thanx for sharing..:)

Re: Dukh kii lehar ne CheRa hogaa

:k::k::slight_smile:

Pasand karne ka shukriya.

nice one :k: