Dukh Dard Kay Maron Say Mera Zikar Na Karna
Ghar Jao Tu Meray Yaron Say Mera zikar Na Karna
Woh Zabt Na Kar Pain Gay Ankhoon Kay Samadar
Tum Guzaroon Say Mera Zikar Na Karna
Pholon Kay Nasheman Main Raha Hoon Sada Say
Dekho Kabhi Kharoon Say Mera Zikar Na Karna
Shahyad Yeh Andehray Hi Mujhe Rah Dikahin
Ab Chaand Sitaroon Say Mera Zikar Na karna
Woh Meri Kahanai Ko Galat Rang na Dey Din
Afsnana Nigaroon Say mera Zikar na karna
Shahyad Woh meray Haal Pay Bey Sakhta Roh Diin
Iss Baar Baharoon Say mera Zikar Na karna
Lay Jain kay Gehrai Main Tum Ko Bih Baha kar
Darya Kay Kinaraoon SAy Mera Zikar Na Karna
Woh Shaks Milay Tu Ussay Har Baat Batana
Tum Sirf Isharoon Say Mera Zikaar na KArna
wah bahut khoob!
Re: Dukh Dard Kay Maron Say Mera Zikar Na Karna
Keon Jeee ![]()
Kamal ki posting ki hai aap ne very nice , Buhat Khoooooob :k:
Re: Dukh Dard Kay Maron Say Mera Zikar Na Karna
[QUOTE]
*Originally posted by Dania_2000: *
Woh Shaks Milay Tu Ussay Har Baat Batana
Tum Sirf Isharoon Say Mera Zikaar na KArna
[/QUOTE]
beautiful.....
Tum sirf isharoon say mara zikar na karna
beautifull...
humm