Jubb seenay kay ander saans kay daryaa doltay hain
Jubb mosam sard hawa main
chupp say ghoomtay hain
Jubb aansoo, palkain roltay hain
Jubb subb aawaazain apnay apnay bistar par so jaati hain
tubb aahista aahista aankhain kholtay hain Dukh boltay hain