“Tumein Dil Mein Rakhein Ghay Aakhari Darkan Tak”
her lamha har sa’aat mein …
her waqt her baat mein…
shammil e haal hai jo
us ko hai aadat kehnay ki
“Duahoon main yaad rakhna”
humein b bahut naaz tha
quwat e lrada per
mangna dua her waqt Allah se
milay us ko har khushi
us ki cha ho meri khushi
waqt ne lee jo angrahii
badal geya nakshaa-e-hayat
woh jaatay samay keh geya
Duaoon main yaad rakhan
kuch na bolay khamoosh rahey
humein tu hai us ko bhoolna
na maangee dua baad az namaz
tha itmiinaan k bhoool jayen gay
per na ho sake hum kaamyaab
her pal hain woh saath humaaray
jaisay hain saans o rooh main rachay
shaid kisi qabooliat ki saa’at
hum ne un se kaha tha
Tumein dil mein rakhein ghay aakhri darkan tak.,!!