fara
1
**Suno logoo
Gunaah saarey zameeN se aasmaaN tak
Phail jaaiN aur
Falak ko daiN azaabooN ki agar da’wat
To aise me nadamut ka koi qatraa
AzaaboN kay wasee daryaa kay rukh ko
Mordh detaa hay, junooN ko tordh detaa hay
Agar ye haath uth jaeiN du’aa ko to
GunaahooN kay pahaarooN ko mitaa daalaiN
Zameen-o-aasmaaN ko yeh hilaa daalaiN
Chalo hum tum du’aa kar laiN
Khudaa se iltijaa kar laiN
Khaloos-e-dil se maangaiN tu
Wafaa’ieN rudd nahi hoteiN
Duaa’ein rudd nahi hoteiN**
Amal
2
Re: Duaa’ein Rudd Nahi HoteiN
Bohat khoobsoorat aur sacchi nazm hey fara ji :k: … thanx for sharing it with us 
Re: Duaa’ein Rudd Nahi HoteiN
Bhut ache hai fara jee 
Thanks for sharing :k:
Re: Duaa'ein Rudd Nahi HoteiN
true
bht khobsorat nazm hai fara
thankis for sharing
Re: Duaa’ein Rudd Nahi HoteiN
bohat khoobsurat :k:
muddii
6
Re: Duaa'ein Rudd Nahi HoteiN
Buhat Khub fara:)
**Suno logoo
Gunaah saarey zameeN se aasmaaN tak
Phail jaaiN aur
Falak ko daiN azaabooN ki agar da'wat
To aise me nadamut ka koi qatraa
AzaaboN kay wasee daryaa kay rukh ko
Mordh detaa hay, junooN ko tordh detaa hay
Agar ye haath uth jaeiN du'aa ko to
GunaahooN kay pahaarooN ko mitaa daalaiN
Zameen-o-aasmaaN ko yeh hilaa daalaiN
Chalo hum tum du'aa kar laiN
Khudaa se iltijaa kar laiN
Khaloos-e-dil se maangaiN tu
Wafaa'ieN rudd nahi hoteiN
Duaa'ein rudd nahi hoteiN**
UZ
7
Re: Duaa’ein Rudd Nahi HoteiN
Bohat hi zabardast nazm hai Farra :k:
Koyal
8
Re: Duaa'ein Rudd Nahi HoteiN
Beautiful faRa duiaN waqie he rad nahi hoti :)
Re: Duaa'ein Rudd Nahi HoteiN
DuaaeiN rad nahiN hoteeN..beshak...lekin baa'z Oqaat Khuda ki mansha kuch aur hi hoti hai...
khush rahiye :-)
Re: Duaa’ein Rudd Nahi HoteiN
Farah jee,
yakeenan yeh kalaam bohat hee afreen hain. 
Waah kya khoob andaz 
Aryaan
11
Re: Duaa’ein Rudd Nahi HoteiN
Bohat Khoob Fara..:k: