Re: Duaaa
buhat khoob :k:
to add some more
meray bazo’on main thaki thaki abhi mehv-e-khwaab hai chandni
na uthay sitaron ki palki abhi aahton ka guzar na ho
ye ghazal ke jaisay hiran ki ankhon main pichli raat ki chandni
na bujhay kharabay ki roshni, kabhi be charagh ye ghar na ho
vo firaq ho ya visaal ho teri yaad mehkay gi aik din
vo gulaab ban ke khilay ga kaya jo charagh ban ke jala na ho
kabhi dhoop de kabhi badliyan dil-o-jan se dono kabool hain
magar us nagar main na qaid kar jahan zindagi ki hawa na ho