tere Azmatoon say bay khabar
yeh mere nazar ka qasoor hay
tere rah guzar main qadam qadam
kahen arsh hay ,kahen toor hay
yeh baja hay malik-e-bandgee
mere bandgee main qasoor hay
yeh khata hay , mere khata magar
tera naam bhi to ghafoor hay
mujhy yeh bata tu millay ga kahan
kay mujhay tujh say milna zaroor hay
kaheen dil ki shert na daalna
kay abhi dil ,nigahoon say door hay