just wondering…ke ajj namaz ke baad app logon ne kya dua manghi?
main thori daer pehle Isha ki namaaz par kar uti hoon.
Aksar sochti hoon ke mian Allah Tahllah se hemesha simple si dua manghti hoon, lekein ajj maine ghor kiyah hai main tho itna kuch mangti hoon Allah tahllah se.
Apne walladian ki sehat tandrusti, un ke liyeh fazilat or barkat.
Apne bahan bhaion or un ki family ki sehat tandrusti or un ke liyeh bhi rizq ki barqat or fazilat.
Apni beti ke liyeh bhi yeh sab kuch or us ki belayi ki dua. phir sab musalmano ke mushkil ehsan karne ki dua.
phir apne liyeh bhi barkat or fazilat ki dua.
thats not a very simple dua, leiken Allah tahllah yeh sab kuch deh sakhta or subah main phir yehi manghoon ki Allah tahllah se.
Allah tahllah hum sab ki naik or jaiz khawashat poori karain, ameen:flower2:
Allah mere gunahon ko maaf farma, mere maan baap ko sehat or tardursti ata farma, jo ghaltiyaan ho gayee hain us ko maaf farma, jo namaz main ghaltiyaan hoee un ko maaf farma, Maan Baap ka Ehteraam karnay ke Taufiq ata farma, Namaz or Quran parhnay ke taufiq day. buray kam say door rahain.. or Deemagh ko roshan kay or achi tarha parahi karnay ka taufiq dain.
Aaj suba fajar ke namaz k baad mai nay sab say pehlay apnay ami abu k lyiay dua ke k ALLAH un ke tamam pershaniyo, mubisbatoon, dukhoon ayr takaleef ko door farmaiay ayr un ko sehat ata farmaiay
ayr un ka saya ham behan bahiyo k saroon par qaiem rakhay
ayr un ke tamam pershaniyo, mubisbatoon, dukhoon ayr takaleef mujay mil jain ayr wo hameesha sukhi rahien
us k baad mai nay tamaam muslims k lyhiay dua ke k ALLAH sab ke pershaniyo, mubisbatoon, dukhoon ayr takaleef ko door farmaiay, Muslims k andar ithaad-o-itfaq ata farmaiay, Jitnay muslims bimaar hain un ko ALLAH sifa say and jitay muslims bay-namaz hain sab ko ALLAH 5 waqat ke Namaz parhnay ke tufeeq ata farmaiay, and ALLAH sab ko sidhay rastay par chalaiay,
and then last mai nay un sab k lyiay dua ke jinhoo nay mujay dua k lyiay kaha tha ya mai nay jin ko dua k lyiay kaha tha
yup coz jab mai dua mangata hon to sab k lyiay is liay wo thorhi si lambi ho jati hay
yup offcourse it happends many time especially everyday in fajar prayer i repeate this Dua again and again
hmmmmmmmmm may kia dua mangti hoon
well meri dua pashto may hoti hay jo kay may urdu may bayan nahi kar pa rahi lekin kuch us ko sumaraise karongi koi itni lambi dua nahi hoti meri bas allah say apnay gunahoon ki mafi mangti hoon aur apnay tamam jaiz kwahishat ka poora hona aur behan bhaion ko aur mujhey deen aur dunya may kamyabi ata farmaien allah pak aur apnay waldain kay liay mangti hoon aur tamam musalmanon kay liay mangti hoon aur thori si aur cheezain bhi mangti hoon lekin woh sirf aur sirf mera aur allah ka muamla hay woh may nahi bayan karna chahti
and i repeat this dua after every prayer
dua mangney ke liya muslman hou na zarori nhai hey. dua to her koy mang tha hey cristan bhi mang they to jews bhi mang they hindu bhi mang they to muslman bhi mang they hey . sab he mang they per mang ka tareeqa shrif different hou tha hey
to app bhi kuch mangey jo app ke dil khey tha is ko mangey