hamaari itni si buss dua hai
ke aanay waala har aik lahmaa
haseen chaahat kay phool bakhshay
urooj bakhshay…
tumhaari duniya mein roshni ho
tumhaari duniya mein zindagi ho
tumhaari mehfil mein khushbooein houn
tumhaaray ikhlaas ki nishaani
younhi chamaktee rahay hamesha
kabhi bhi iss tak
dukhoon ki dastak pohanch na paaye
tumhaaray dil tak
judaaioun, baiwafaaioun ki
andhairgi, tairgi na pohnchay
Khuda karay kay
hur aik dil ka qaraar lootto
agar tumhaari har ik tamannna
har aik khawaahish
tumhaaray hountoun tak aatay aatay
tumhaaray qadmoun tak aan pouhnchay!!
tau ho sakaa tau tumhaaray hissaay kay sub ghamoun ko
hum apnay dil mein utaar lein gay…
…agarcha mumkin nahin - khabar hai
magar dua par tau apna haq hai
tumhaari khaatir duaain saari…
wafaain saari…
khiyaal rakhna
har ik qadam par, dhiyaan rakhna
yeh mukhatasar sa dua ka tohfa
sambhaal rakhna…