Hay dua yad magar harf-e-dua yad nahi
meray naghmat ko andaz-e-nawa yad nahi
hum nay jin kay liay rahon mein bichaia tha laho
hum say kehtay hein wohi, ehad-e-wafa yad nahi
***zindagi jabar musalsal ki tarh kati hay ***
***janay kiss juram ki pai hay saza yad nahi ***
mein nay palkon say dar-e-yar pay di hay dastak
mein who sa’il hon jissay koi saada yad nahi
keasay bhar aain sar-e-shan kissi ki ankhin
keasay tharr’ai charaghon ki zi’a yad nahi
***siraf dhundlatay sitaron ki chamak deakhi hay ***
***kab hoa kon hoa mujh say juda yad nahi ***
***aao ik sajda karin aalam-madhoshi mein ***
***log yeh kehtay hein kay Saghar ko khuda yad nahi ***
A beautiful ghazal by Saghar Sadeqi