dua ka Tootaa hua harf, sard Aah main hai
teri judae ka manzar abhi nigaah main hai
teray badalnay kay bavasf tujh ko chahaa hai
yeh aitaraaf bhi shaamil meray gunaah main hai
azaab deyga to phir mujh-ko Khwaab bhi deyga
main mutmain mera dil teri panaah main hai
bikhar chukaa hai magar muskaraa kay miltaa hai
woh rakh rakhaao abhi meray kaj-kulaah main hai
jisay bahaar kay mehmaan Khaali chorhgaye
woh aik makaan abhi tak makeen ki chaah main hai
yehi woh din thay jab aik doosray ko payaa thaa
hamaari saalgirah Theek aglay maah main hai
main bach bhi jaaoon to tanhae maar Daalay gi
meray kabilay kaa har fard Qatal-gaah main hai!
(Perveen shakir)