**chalo ishq mein ajj unhain saza dety hain
rahien who khush unhain dua dety hain
Dua-e-Dil pe ger unhain hai nhi yakeen
chalo utha k haath hont bhi hila dety hain
de ker unhain aram makhmal ke bistar ka
hum kanton pe bister apna bana lety hain
anjan ik shajer pe likhi thi dastan kabhi
ab yad nhi shajer to gulshan hi jala dety hain
ban na jaien tery orooj mein rukawat kabhi
ye soch ke hum khud ko hi mita dety hain
kuch dair mera janaza na uthao logo
dekh ker hum unhain akhri sada dety hain
nadan na samjh kiyon keh rahy hain “Mujeeb”
na aye ga koi ab chalo dafna dety hain.**