JOSH MALIHABA’DI —(Shabbir Hasan Khan 1894 - 1982 popularly known as Josh)
Tareekh dey rahi hai yeh awaaz dam ba dam
Dasht-e-sabat-o-Azm hai Dast-e-Bala-o-Gam
Sabr-e-Maseeh wa juraa’t suqrat ki qasam
Is rah mea hai sirf ek insaan ka qadam
Jis kee rago’n mein Aatish-e-Badr-o-Hunain Hai
Us soorma ka isme girami Hussain Hai
———————————————————-
Jo Saheb-e-Mizaj-e-Naboowat tha wo Hussain
Jo waris-e-zameer-e-Risalat tha wo Hussain
Jo Khalwati-e-Shahid-e-Qudrat tha wo Hussain
Jis kaa wojood fakhr-e-mashiat tha wo Hussain
Sanchay main dhalney key liye Kainaat ko
Jo tolta tha Nok-e-Mazaa’ par hayat ko
————————————————–
Jo Ek nishan-e-Tashna dhani tha wo Hussain
Geeti pey Arsh kee jo nishani tha wo Hussain
Jo Khuld ka Ameer-e-Jawani tha wo Hussain
Jo Ek san-e-jadeed ka bani tha wo Hussain
Jis ka Lahu Talatum-e-pinhaa’n liye huway
Har boond mein tha Nooh ka Toofan liye huway
——————————————————-
Jo Karwan-e-Azm ka Rehbar tha wo Hussain
Khud Apney khoon kaa jo shanawar tha wo Hussain
Ek Deen-e-Tazaa ka jo payambar tha wo Hussain
Jo Karbala ka dawar-e-Mehshar tha wo Hussain
Jis kee nazar pey Shewa-e-Haq ka madar tha
Jo Rooh-e-Inqilab ka parwardigar tha
—————————————————–
Ha’n ab bhi jo manara-e-Azmat Hai wo Hussain
Jis kee nigah marg-e-Adawat Hai wo Hussain
Ab bhi jo Mehwa-e-Dars-e-Mohabbat Hai wo Hussain
Aadam kee jo daleel-e-Sharafat hai wo Hussain
Wahid jo ek namoona hai zibh-e-Azeem Ka
Allah rey intekhab Khuda-e-Hakeem ka
—————————————————–
Ha’n wo Hussain Jis kaa abad Aashna Sabat
Kehta Hai Gaah Gaah Hakeemoo sey bhi yeh baat
Yaney duroon-e-pardaa-e-Sad Rang-e-Kainaat
Ek Karsaz Zehn hai, Ek zee Shaoor zaat
Sijdoo’n sey khainchta hai jo masjood kee taraf
Tanhaa jo ek ishara hai maabood kee taraf
———————————————————
Taaqat see shaei ko khaak mein jis ney mila diya
Taqtaa Ullatt key qasr-e-huqoomat ko dha diya
Jis ney hawa mein ruab-e-Imarat Urhaa diya
Thokar sey jis ney afsar-e-Shahi Gira diya
**Is tarha jis sey Zulm Siyah Faam ho gaya
Lafz-e-yazeed dakhil-e-Dushnam ho gaya**
———————————————-
Pani sey teen roz huway jis key lab na tar
Teg-o-Tabr ko sompp diya jis ney ghar ka ghar
Jo mar gaya Zameer kee Izzat key nam par
Zilaat key Aastaan pey Jukaya magar na sar
Lee jis ney saans rishtey-e-Shahi ko Tor kar
Jis ney Kalai maut kee rakh dee maroar kar
—————————————————–
**Har chand ahl-e-joer ney chaha yeh barhaa
Ho jaey mehaw yaad-e-Shaheedaan-e-Karbala
Baqi rahey na naam zameen par Hussain kaa
Laikin Kisi ka zoar Azizo Na Chal saka
Abbas-e-Namwar key lahu sey dhula huwa
Ab bhi Hussainiat ka alam hai khula huwa
——————————————————
Yeh subh-e-Inqilab kee jo aaj kal hai zoe
Yeh jo machal rahi hai Saba, Phatt rahi hai poe
Yeh jo Chirag-e-Zulm kee tharaa rahi hai loe
Dar parda yeh Hussain kee Anfaas kee hai roe
Haq key Chiray huway hain jo yeh Saaz Dosto
Yeh bhi isee jari kee hai Awaaz Dosto **