Mere azeez paainon and not-so-azeez parao!
As part of my plan to become a better Muslim and a better person in this blessed month of Ramzan (or Ramadhan, take your freaking pick), I will Inshallah bring you weekly installments of Dr Batool’s beauty tips as carefully jotted down by my own person. Please, read on for last week’s tips:
*Nazreen, is haftay hum aap ko apni khaal to magarmach khi khaal ki tarah naram o mulaim bananain ka tareeqa bataeingay. aik addad ticket Pakistan ka book karwayain. Pakistan tashreef lay kar jayen, thori dair apnay muhallay kay chowk main kharray rahein, phir waapis tashreef laay aaein. Munh dhoonay say ashad ijtinaab karain. Inshallah jald jald afaqa ho ga.
Achcha ab ijazat deejiyay, Inshallah aglay week apna thoobra lay kar yet again hazir hoongi mazeed torture kay liye. Allah Haffiz aap sab ka (mujh say)!*