Dr. Bashir Badr ki ek Ghazal-Jo Shikaayaten...

Aadaab arz dosto!

Dr. Bashir Badr kii ek Ghazal pesh-E-Khidmat hai, Umeed karta hoon, pasand aaigi..

**Ghazal

Jo shikaayateN na gilaa kare,
Koii aisaa shaKhs huwaa kare
Jo mere liye hii sajaa kare,
mujh hii see BaateN kiyaa kare…

Kabhi roye jaaye voh be-panaah
kabhi be-tahaashaa udaas ho
Kabhi Chupke-Chupke dabe qdam
mere peechay aa ke haNsaa kare

Meri QurbateN, meri ChahateN..
KOii yaad rakhe, qadam-qadam
MeiN taveel Safar mein hoon agar,
meri vaapasii ki duaa kare !!!**

Dost,

aapne ghazal to bahot hii achhi pesh kii hai magar ye ghazal Bashir Badr kii nahiN hai..ye amjad Islam Amjad jii kii hai...
khair aap ko Bashir Badr sahab kii eik ghazal hum sunnate haiN

vo thakaa huaa merii baaho.n me.n zaraa so gayaa thaa to kyaa huaa
abhii mai.n ne dekhaa hai chaa.Nd bhii kisii shaaKh-e-gul pe jhukaa huaa

jise le ga_ii hai abhii havaa vo varaq thaa dil kii kitaab kaa
kahii.n aa.Nsuo.n se miTaa huaa kahii.n aa.Nsuo.n se likhaa huaa

ka_ii miil ret ko kaaT kar ko_ii mauj phuul khilaa ga_ii
ko_ii pe.D pyaas se mar rahaa hai nadii ke paas kha.Daa huaa

mujhe haadaso.n se sajaa sajaa ke bahut hasiin banaa diyaa
meraa dil bhii jaise dulhan kaa haath ho mehandiyo.n se rachaa huaa

vahii Khat ke jis pe jagah jagah do mahakate ho.nTho.n ke chaa.Nd the
kisii bhuule-bisare se taaq par tah-e-gard hogaa dabaa huaa

vahiii shahar hai vahii raaste vahii ghar hai aur vahii laan bhii
magar us dariiche se puuchhanaa vo daraKht anaar kaa kyaa huaa

mere saath juganuu hai ham_safar magar is sharar kii bisaat kyaa
ye charaaG ko_ii charaaG hai na jalaa huaa na bujhaa huaa

Re: Dr. Bashir Badr ki ek Ghazal-Jo Shikaayaten…

very nice and good choice…:flower1:

nice selection…:flower2:

gr8 dost good stuff

carry on …

ta ta :wave: