RahGeeR
1
Salaam .. eak ghazal ap logon sey shair kar raha hun umed hay pasand aey ge .
koi lamha to bhool jaya kar
yad-e-janaan na roze aaya kar
dhoond hall kuch nayay masayil ka
yad-e-mazi main kho na jaya kar
rozi roti talaash kar laikin
sang chidyon ke laot aaya kar
khauf aata hae abb judai say
aesi baton se na daraya kar
dil ke rakhnay main kuch naheen jata
dil hi rakhnay ko muskuraya kar
dost hotay hain sheeshay ke
doston ko na aaz maaya kar
Azad
3
[QUOTE]
dil ke rakhnay main kuch naheen jata
[/QUOTE]
kitna masoom hay yeh
Deekay
4
Sheeshe ke dost ab kahan?
Waise Ghazal bahut hi jabarast hai.
Lamhay
5
Very nice thanks 4 sharing!
Re: doston ko na aaz maaya kar
wah ji wah:k:
RahGeeR
11
Salaam ....
Thanx to every one :) Pasand karnay ka or Hoslaa Afzai ka...
Badla na apnay aapko jo they wahi rahey,
Miltay rahey sabi say magar ajnabi rahey !
Duniya na jeet pao to haaro na khud ko tum,
Thodi bahut to zahan mein naarazgi rahey !
Apni tarah sabi ko kisi ki talaash thi,
Hum jiskay bhi qareeb rahey door hi rahey !
Guzro jo baag say to dua maangtay chalo,
Jis may khilay hain phool woh daali hari rahey !