Dosti Ka Ek Samandar

Dosti ka ek samandar
Unginat saahil wafa kay
Apnay seenay maiN chupaye
Jaanay kab say beh raha tha

Daf’atun ek mauj ubhree
MotiyoN kee shakal maiN
Dhaltay huay alfaaz, jumlay
Khood-bakhood dil say uThay
Lub tak gaye

Dil ka her ek bojh lafzoN nay uThaya
Fikr ka her lamha ek jumlay say Takraya
Bhikher ker kho gaya
Gham ka raiza raiza
Kuch baatoN ki ro maiN beh gaya

Re: Dosti Ka Ek Samandar

:k:

Re: Dosti Ka Ek Samandar

Dil ka her ek bojh lafzoN nay uThaya
Fikr ka her lamha ek jumlay say Takraya
Bhikher ker kho gaya
Gham ka raiza raiza
Kuch baatoN ki ro maiN beh gaya

:lajawab:

Re: Dosti Ka Ek Samandar

Bohat Umdah.......bro

Re: Dosti Ka Ek Samandar

nice sharing muqawwee :lajawab: