Dost miltay haiN yahaN dil ko dukhaanay kay liay
UngliyaaN rakhtay haiN woh hum pah uThaanay kay liay
Kia qusoor un ka yeh ek rasm chalee aai hai
TohmataiN hoti haiN duniya maiN laganay kay liay
NaaKhudaa maan kay baiThay haiN jin ki kishti miaN
Woh hamaiN maujoN maiN laye thay Dubaanay kay liay
Woh hawaaoN ki tarah ruKh ko badal letay haiN
Hum naseeboN say laRay thay jinhaiN paanay kay liay
Daagh
3
**
woh hawaaon ki tarah rukh ko badal letay hain
hum naseebon say laray thay jinhain paanay kay liay
**
so very true...
bahot khoob wiseguy :)
thanks
Re: Dost miltay haiN yahaN dil ko dukhaanay kay liay
bohat nice :k:
Swera
6
Woh hawaaoN ki tarah ruKh ko badal letay haiN
Hum naseeboN say laRay thay jinhaiN paanay kay liay
How so true....
:(
Bohat khoob ,thanks 4 sharing..
Koyal
9
ganday dost :teary: wesay true