~Dost hota nhi hr haath milanay wala~

Dost bun kr bhi nhi sath nibhanay wala,
Wohi andaz hai zalim ka zamanay wala,

Ab usay log samajhty hain giraftaar mera,
Sakht nadim hai mujhy daam mein lanay wala,

Kya kahen kitnay marasam thay hmaray us se.!
Woh jo ek shakhs hai munh phair k janay wala,

Teray hotay huay a jati thi sari duniya,
Aj tanha hun to koi nhi anay wala,

Muntazir kiska hun tooti hui dehleez pay main,
Kon aaye ga yahan kon hai anay wala?

Tum takalluf ko bhi ikhlaas samajhty ho Faraz,
Dost hota nhi hr haath milanay wala..
**

Ahmad Faraz**

Re: ~Dost hota nhi hr haath milanay wala~

waah, bahot Khoob :)

dushman bhii nahiiN hotaa koii chai pilaane waalaa! :)

Re: ~Dost hota nhi hr haath milanay wala~

Dushman chaai to pila de ga per neelay thothay k sath :omg:

Re: ~Dost hota nhi hr haath milanay wala~

hahaha…haN na…voii to…merii class meN ek Kashmiran thii…us ne poorii class ke laRkoN se chai FREE kii pee magar shaadii hamaare professor saab se kar li…ise kahte haiN neela thothaa khilaanaa! :cb:

Re: ~Dost hota nhi hr haath milanay wala~

Ab usay log samajhty hain giraftaar mera,
Sakht nadim hai mujhy daam mein lanay wala,

:k:

lo apne daam main khud sayyad aa gaya

Re: ~Dost hota nhi hr haath milanay wala~

hahahahaha kashmiran thi na isliye :omg:

ab to hr jagah yehi ho rha hai :bummer:

Re: ~Dost hota nhi hr haath milanay wala~

giraftaarii e daam e kamand e zulf to naseeb waaloN ko naseeb huaa kartaa hai! :slight_smile:

Re: ~Dost hota nhi hr haath milanay wala~

nd em sure muqawwee bhaiya ne yeh line 5 dafa to zarur parhi hogi :omg:

Re: ~Dost hota nhi hr haath milanay wala~

Bilkul sahi baat hai… dost dost na raha pyaar pyaar na raha :teary2:

Re: ~Dost hota nhi hr haath milanay wala~

hayee Allah emotional kyun ho gye :bummer: bhul jao jo hua so hua :biggthumb:

Re: ~Dost hota nhi hr haath milanay wala~

:nahi: ab to aadat si hai mujhko Jinnati Urdu padhne ki

Re: ~Dost hota nhi hr haath milanay wala~

Kitni asaani se keh detey hain jo hua so hua bhool jaoo :hbk:

Chalo ajj bhool jatey hain hum saB
Sare qisey kahniyaan jo guzri hum pey
Chalo agey bhar ke dekhtey hain hum
Ek nayi duniya mae qadam rahk ke
Phir se wohi loog milein gey humein
Badli huyi rahun pey ek tufaan ki terhan
Kya na jo tha hum ney us ka pochney keliye
Dushman kharey hain hazaroon
manzil ki rah pey Rukawatein baney huye
Mager loog kehtey hain husla rahk farih
Abhi tu bohut kuch sehna baqi hai rah mae

Duhk miley itney apnu se ke shairy sikha di
Tooti phuti hi sahi thori bohut tu agayaiii:teary2:

Sorry i cant forget anything :devil:

Re: ~Dost hota nhi hr haath milanay wala~

Dost bun kr bhi nhi sath nibhanay wala,
Wohi andaz hai zalim ka zamanay wala,

:cryb: :cryb:

Re: ~Dost hota nhi hr haath milanay wala~

Chalo ajj bhool jatey hain hum saB
Sare qisey kahniyaan jo guzri hum pey
Chalo agey bhar ke dekhtey hain hum
Ek nayi duniya mae qadam rahk ke
Phir se wohi loog milein gey humein
Badli huyi rahun pey ek tufaan ki terhan
Kya na jo tha hum ney us ka pochney keliye
Dushman kharey hain hazaroon
manzil ki rah pey Rukawatein baney huye
Mager loog kehtey hain husla rahk farih
Abhi tu bohut kuch sehna baqi hai rah mae

:clap: for fariha