Dost ban kar bhi nahin sath nibhanay wala
wohi andaaz hai zalim ka zamanay wala
kiya kahain kitnay marasim they humaray is se
wo jo ik shakhs hai mon pher k janay wala
Muntazir kis ka hon toti hoi dehleez pe main
kon a gaya yahan koun hai anay waha
main ne dekha hai baharon main chaman ko jaltay
hai koi khaab ki tabeer batanay wala
tum takaluf ko bhi ikhlaas samjhtay ho Faraz
Dost hota nahin har hath milanay wala!
Re: dost hota nahin har haath
fAraZ mA Fav KEep on sharing :k: