dost ban ker b nahi sath nibhany walla
wahi andaz hai zalim ka zamany walla*
kya kahain kitny marasum thy hammary uss sy
wo jo ik shakhss hai munh phair k jany walla
tery hoty huye aa jati thi sarri dunyaa,
aaj tanha hun too koi nahin anny walla
kya khaber thi jo meri jaan main ghulla hai itna
hai wohi mujhy ko sary dhaar lany walla
main ny dekha hai baharoon main chaman ko jalty
hai koi khuaab ki tabeer batany walla
tum takalluff ko b ikhlass samujhty ho faraz
dost hota nahi her hath millany walla …