Dost hota nahi her haat milane wala

Dost ban ker bhi nahi saath nibhane wala
Wuhi andaaz hay zaalim ka zamanay wala

Ab usay log samjhte hain giraftar mera
Sakht naadim hay mujhe daam mein laane wala

Kia kehain kitnay marasim they hamary us say
Woh jo ik shaks hay munh phair k janay wala

Tere hotay huwe aa jaati thi sari dunia
Aaj tanha hoon tou koi nahi hay aanay wala

Muntazir kis ka hoon tooti huwi dahleez pey mai
Kon aaya hay yahan kon hay aanay wala

Mai nay daikha hay baharon mein chaman ko jaltay
Hay koi khawb ki tabeer batanay wala

Tum takalluf ko bhi ikhlaas samjhtay ho Faraz
Dost hota nahi her haath milnay wala

“Ahmad Faraz”

Re: Dost hota nahi her haat milane wala

Very nice by Ahmed Faraz:-)

Re: Dost hota nahi her haat milane wala

Very nice :k:

Re: Dost hota nahi her haat milane wala

thnx for this nice sharing.......!

Re: Dost hota nahi her haat milane wala

excellent...

Re: Dost hota nahi her haat milane wala

Kia kehain kitnay marasim they hamary us say
Woh jo ik shaks hay munh phair k janay wala

A evry Gr8 piece of Ahmed Faraz Thanx for sharing

Re: Dost hota nahi her haat milane wala

wah wah *nabhiha g *....

*Kha Kay Jo Teer Daikha, Kameen Gah Key Taraf
Apnay He Doostoon Say mulqat Ho Gai *

Re: Dost hota nahi her haat milane wala

nice one!

Re: Dost hota nahi her haat milane wala

bohut khoob janab