dost hota nahi har hath milaanay wala

dost ban kar bhi nahi saath nibhaanay waala
wahi andaaz hai zaalim ka zamaanay wala

kya kahein kitnay maraasim thay hamaaray us say
wo jo ek shakhs hai, munh phaer k jaanay wala

muntazir kis ka hoon tooti hui dehleez pay mein
kon aaey ga yahan, kon hai aanay wala

tum takalluf ko bhi ikhlaas samajhtay ho FARAZ
dost hota nahi har haath milaanay wala

Re: dost hota nahi har hath milaanay wala

Bohat khoob ..... :)

Sorry to say : Aaaj aap nay phir say kuch zakhm tazay kar deay.............:( :(

Re: dost hota nahi har hath milaanay wala

Very nice!
Ab usey log samujhtey hein geraftar mera
Sukhet nadim hei mujhey daam mein laney wala

Re: dost hota nahi har hath milaanay wala

nice
bara purana sher ha urdu ki keys main parta tha
Dakha jo teer kha kar kme gah ki taraf
apna hi dosto sa mulakat ho gae

Re: dost hota nahi har hath milaanay wala

very nice

Re: dost hota nahi har hath milaanay wala

it is a beautiful piece of poetry

Re: dost hota nahi har hath milaanay wala

excellent poem…n very true…:k:
Her haath milanay wala dost nahi hota!