dost ban kar bhi nahi saath nibhane wala
vohi andaaz hai zaalim kaa zamaane wala
ab ise log samajhate hain giraftaar mera
saKht nadim hai mujhe daam mein laane wala
kiya kahen kitne marasim the hamare us se
vo jo ik shaKhs hai munh pher ke jaane wala
tere hote hue aa jaati thi saari duniya
aaj tanhaa hun to koi nahi aane wala
muntazir kis kaa hun tooti hui dahaliiz pe main
kaun aayegaa yahan kaun hai aanevaalaa
main ne dekha hai bahaaron mein chaman ko jalte
hai koi Khvaab ki tabeer batane waalaa
tum taqaluf ko bhi iKhalas samajhate ho ‘Faraz’
dost hota nahi har hath milane wala
Re: dost ban kr bhi
tere hote hue aa jaati thi saari duniya
(bs paisy ki khel ha ) ![]()
Re: dost ban kr bhi
tum taqaluf ko bhi iKhalas samajhate ho ‘Faraz’
dost hota nahi har hath milane wala
:k:
Re: dost ban kr bhi
paisa phaink tamasha dekh ? ![]()
Re: dost ban kr bhi
ikhlas aur takalluf mai farq kaise kiya jaaye ? ![]()
Re: dost ban kr bhi
plate main biscuits ke tadaad dekh kar
Re: dost ban kr bhi
plate main biscuits ke tadaad dekh kar
zyadah huay tou takalluf ? plate khaali hue tou ikhlass ?
Re: dost ban kr bhi
try not to be formal ![]()
Re: dost ban kr bhi
paisa ho tu munni b badnaam hony ko tyar ho jati ha ![]()
Re: dost ban kr bhi
her biscuit uthate huwe mezbaan ki peshani ko dekho… jab tak bal na aae iklaas, jab bal aae takalluf.. tame tame ki baat hai :cobra:
Re: dost ban kr bhi
well well…mehman navazi ?
tauba tauba touches ear
Re: dost ban kr bhi
![]()
wht a wayyy…
Re: dost ban kr bhi
ap formal hoge tu formal log hi milenge na ![]()
Re: dost ban kr bhi
![]()