Dorr sey urti chirya ka parr kutt gaya

Dorr sey urti chirya ka parr kutt gaya
Shaam honay sey pahlay safar kutt gaya
Piyaas dharti ki bhujnay sey kuch baishtar
Dhoop kay waar sey abar tak kutt gaya
Rasm-e-shabbir phir sey adaa hogayee
Sachh ki paadaash main ek sarr kutt gaya
Khoonchaa shehar teray fasaadaat main
Phir kisi MaaN ka lakht-e-jigar kutt gaya
Chirr gayee behas siii neend aur aankh main
Shab ka pichla pehar jaag kar kutt gaya
Yeh kaha pairr sey pairr nay Murtuzaa~
Jo hua bay samar who shajar kutt gaya

Re: Dorr sey urti chirya ka parr kutt gaya

very nice Dania_2000:k::k:
keep it up:)

[QUOTE]
.Chirr gayee behas siii neend aur aankh main
Shab ka pichla pehar jaag kar kutt gaya .
[/QUOTE]

bohut hi khoob

Re: Dorr sey urti chirya ka parr kutt gaya

[QUOTE]
*Originally posted by Dania_2000: *
Dorr sey urti chirya ka parr kutt gaya
Shaam honay sey pahlay safar kutt gaya
Piyaas dharti ki bhujnay sey kuch baishtar
Dhoop kay waar sey abar tak kutt gaya
Rasm-e-shabbir phir sey adaa hogayee
Sachh ki paadaash main ek sarr kutt gaya
Khoonchaa shehar teray fasaadaat main
Phir kisi MaaN ka lakht-e-jigar kutt gaya
Chirr gayee behas siii neend aur aankh main
Shab ka pichla pehar jaag kar kutt gaya
Yeh kaha pairr sey pairr nay Murtuzaa~
Jo hua bay samar who shajar kutt gaya
[/QUOTE]

Kiya baat hai...

Nice :k:
Thanks for sharing :slight_smile:

bhut khoob:k: