last but not least, this im sure will bring tears to your eyes ![]()
door ufaq per sham say pehlay
tanha, udaas urtay panchi ko jub
wapas lottay dekhti hoo main
aur tanha chand ko taktay taktay
jub aksar ronay lagti hoon main
aur apnay aap say ghabra kar
phir khud say hi yeh poochti main
kitna bojhal din ho ga woh bhi
jis din tum sharminda say
mujh se nazrain churaaye hue
mere paas dheeray say aa kar
chupkay say koi majboori bata kar
dheemay say keh do gay mujh say
ab mujh ko tum say nafrat hay
ab tum ko pachtaana hoga
apn asaath yaheen tak tha bas
ab tum ko laut kay jaana hoga
lekin us din yeh wada hay
janay se ek lamha pehlay
khamoshi say phir main tum ko
woh sub kuch lota doon gi
khwaab jo saaray main ne dekhay
umeedain jo main ne baandheen
waday saaray jo tum ne keyey
aur zakhm jo saaray tum ne deyey
jatay jatay tum say bas main
ek chota sa waada loon gi
bolo kya tum do gay mujh ko?
mujh say bas ek waada karna
mujh ko yaad na aane ka
phir mera tum say wada hay
wo aakhri lamha ho ga jub
koi mujh ko rota dekhay ga
baad uskay kya tum jantay ho?
is gham ko chupanay ki khatir
sab kuch bhulanay ki khatir
tub mujh ko phir say hansna ho ga
bas yaad mujhay yeh rakhna ho ga
khwaab tha jo kuch dekha main ne
saraab thaa jo kuch chaha main ne
kisi aur ko khush rakhnay ke leyey
kisi aur ko sukh dene ke leyey
mujh ko bhi khush lagna hi ho ga
mujh ko yeh dukh sehna hi ho ga
apni ruswaai ko sun kar
dil ki har aawaaz daba kar
tum ko apnay saath na pa kar
mujh ko chup rehna hi ho ga
sab kuch tanha sehna hi ho ga
*
(Chiraag)