Dard ki saari tah’hain aur saare guzray haadsay
Sab dhuwaan ho jaayenge ek waake’aa reh jayega
Yun bhi hoga woh mujhe dil se bhula dega magar
Yeh bhi hoga khud ussi mein ek khala reh jaayega
Daeray inkaar ke iqraar ki sargosheyaan
Yeh agar tootay kabhi tu faasila reh jaayega
Tu nahee tu zindagi mein aur kya reh jaayega …
Door tak tanhaeyoon ka silsilsa reh jaayega …*