Re: Doodh ka Doodh , Pani ka Pani
agar cream nikaalte haiN to Theek hii hai kiuN k it’s NOT good for health magar bataa kar becheN na k bhai yeh skim milk hai, yeh 2% hai yaa yeh 1% hai jaise western countries meN miltyaa hai…
…AligaRh meN ek Glaxo powder milk kii factory hai…log vahaN se yeh separated doodh [sapreTaa
] doodh le kar aate the aur use 1/3 price par bechte the…shaayad vo iimaandaar the yaa bevaqoof! ![]()
yeh baiNseN Delhi meN nazar aayiiN aur kam o besh har shahr meN aise manaazir nazar aate haiN…lol
bhaiNs nahiiN paali huii magar pataa aise hai k ham is practice ke victim haiN ![]()
har cheez jis meN milaavaT ho saktii hai us emN ho rahii hai…Hattaa k paanii meN milaavaT nahiiN kar sakte to puraanii botaloN meN nalke [tap] kaa water milaa kar bechne lage. ![]()
hamaare mulkoN meN yeh log na kabhii badle haiN aur na kabhii badleNge! ![]()