agar aap cycle challian gay to 2 battain hoon gee yaa to aap taiz cycle challian gay yaa aahista challian gay
. agar aap aahista challian gay to koe baat nahien laiken agar aap taiz challian gay to 2 battain hoon gee..
yaa to aap girr jaaian gay yaa nahien girrain gay.. agar naa girray to koe baat nahien laiken agar aap
girr gaaiay to 2 battain hoon gee , ya to aap ko chottain aaian gee yaa nahien aaian gee.. agar nahien
aaeen to koe baat nahien laiken agar chottain aa gaeen to 2 battain hoon gee yaa to marham patti kay
liay hospital jaaian gay yaa nahien jaaian gay.. agar naa gaaiay to theek hai aur agar challay gaaiy to 2
battain hoon gee … yaa to aap ko marham patti karr keh farigh karr diya jaaiay gaa yaa dakhil karr liya
jaaiay gaa.. agar farigh karr diya to theek hai laikeh agar dakhil karr liya to 2 battain hoon gee .. yaa to
aap ko operation hoo gaa yaa nahien hoo gaa.. agar naa hoa too theek hai aur agar hoo gaya to 2 battain
hoon gee … yaa to aap bach jaaian gay yaa nahien bachain gay… agar bach gaaiay to theek hai warna 2
battain hoon gee yaa to aap jahanum main jaaian gay yaa jannat main … iss liay cycle challanay say pehlay
yeh soch lain keh aap jannat main jana chahaty hain yaa jahanum main…
(2 battain… akif zeb 22 june 1998)
aapki do baato’N mein thori rado badal ki zaroorat hai yaar akif zeb.
wo jab aap kehte ho ke aap jab cycle tez chalo ge to do baatein hongi yaa to aap gir jaaeinge aur yaa to nahee girein ge ab yehaa’n per yoon kahiye ke aap jab cycle tez chalaaeinge to do baatein hongi eik to yeh ke ho saktaa hai aap gir jaaien aur doosri yeh ke agar na gire to jaldi ghaR po’ch jein ge, gaR jaldi ghar poonch ge to maa’n baap se daant kam paRhe gi aur saath mein poultion saans kam lo ge. kiyo’N