*Donon jahaan teri mohabbat main haar k
Wo jaa raha hai koi shab-e-gham guzaar k
Viraan hai maikada khum-o-saaghar udaas hain
Tum kya gaye ke ruth gaye din bahaar k
Ek fursat-e-gunah mili wo bhi chaar din
Dekhe hain hum ne hausle parwardigaar k
Duniya ne teri yaad se begaana kar diya
Tujh se bhi dilfreb hain gham rozgaar k
Bhule se muskra ke diye woh aaj Faiz
Mat puchh walwale dil-e-nakarda kaar k.*