**Dono ko aa saki na nibhani Muhabbatain
Ab par rahi hain ham ko bhulani Muhabbatain
Jin jin rifaqaton k diye wastay magar
Uss ko na yaad aain purani Muhabbatain
Guzri Rutton k zakham bhi ab tak bharay nahee
Phir Aur kiya kissi se barhani Muhabbatain
Janay wo aaj kon sy rastay sy aa`ayn ghar
Har morr har gali py bichani Muhabbatein.**