Doing small washroom while standing

Re: Doing small washroom while standing

I think it's better to use the Farsi word "Bol" for urine

Bol kaY la'b
aazaad haiN teraY

Re: Doing small washroom while standing

peeshaab , na sunay mein acha lagay hain na bolnay mein . koi orr lafz talash karain

jaa.ay fara'gat sahi hai

Re: Doing small washroom while standing

Anu bahi :) kohi Allah ka banda ' Bol' (farsi wala ) parha tu bolain (urdu) gay kay bolta hai :)

Re: Doing small washroom while standing

yaar Masha Allah... lagtaa hai aap fast *boller *rahaiN haiN apni cricket team kaY :)

Re: Doing small washroom while standing

Hazrat yahan bohat saarey log majood haiN jo abhi is duniya maiN tashreef nahi laaye thay. To unko to muskuraney ka mouqa di jiye.

Aap bhi HameiN koi apnay waqat ka lateefa sunaiye, Hamarey Dada marhoom to majood nahi jo aap ko kaheiN gay kay yaar ye lateefa us waqat bohat mashoor tha.

;)

Re: Doing small washroom while standing

Haan Anu bahi , meiin waqar tah or ap abdul qadir :) jo ek end say lagay tu 30 overs karkay haat.na hai :)

Re: Doing small washroom while standing

Jae-e-Peshaab makes sense. Because the all the words are farsee (Ja': Place, Pesh: front, Aab:water) and the Tarkeeb (-e-) is farsee technique.

Re: Doing small washroom while standing

aur aik aap... aik muscle pull aur pooraY din kaY liye baahir ;)

Re: Doing small washroom while standing

faqat ze be daastan kay liyay…

inkaar me.n iqaraar kii baat aa hii gaii hai
baato.n me.n Gam-e-yaar kii baat aa hii gaii hai
aayaa hai kabhii zikr agar daar-o-rasan kaa
gesuu-va-qad-e-yaar kii baat aa hii gaii hai (perhaps this proves your point)

fiza makdar ho chali hai. Fraudia ghoom phir kar waheen aan pohnchay hain.

Re: Doing small washroom while standing

Ap ko bee tu shairi say shaa.gaaf hai , i have seen one of your posts kay saddi ka sab say bara poet kon hai :)

Re: Doing small washroom while standing

Uljhaa jo paa'ooN yaar kaa zulf-e-daraaz maiN
Lo aap apnaY daam maiN saiyaad aa gayaa :p

Re: Doing small washroom while standing

Achi baat howe na :) ek wazu mein din chal jata hai :)

Re: Doing small washroom while standing


For me, it can be no one other than Iqbal...

Faiz comes closer to him by inches..

Ghalib kaa muqaam urdu shaairi maiN sanad kaa muqaam rakhtaa hai laikin Iqbal naY aik Vision diyaa... Ghalib naY deewaan diyaa jiss ko paRhnay kaY liye feeroz-ul-lughaat kaa honaa shart-e-awwaleen hai..

Iqbal ko paRhnay kaY liye Quran kaa paRhnaa zaroori :)

Re: Doing small washroom while standing

Man, you gave the phrase"* is ko to bol'nay kee beemaree hai*" a totaly different meaning

Re: Doing small washroom while standing

Ab kahan hazrat , yea aj kaal ki larkiyaan tu kandoon say nechay baal barha'te nahe hain .

woh amalaa reetaa say baal dhoonay wali larkiyaan hawa ho.een

Re: Doing small washroom while standing

or kia haar jagaa. agaa , pheechoo daikay bagaair bol partah hai :)

Re: Doing small washroom while standing

unn saahab ko salaajeet aur asli yaaqooti kaa murakkab khilaaiye ;)

Re: Doing small washroom while standing

the best urdu poet was Meer by a long shot followed by Ghalib.

Re: Doing small washroom while standing

Mein Habib Jaalib ko Faiz say bara shaair mantah hoon , ussaay lakhoon kay maaj.maay mein suna'gaya hai ! or jo baga.waat ka rang us ki shaairi mein hai woh faiz ko kahin kahin maat kar.daytah hain .

or baat rahee chachaa ki :)

Hum sukaan fayhaam hain , Ghaalib kay taaraaf daar nahii !

Chacha ki bakhshiish ko ek hee shair bohat hai kay

us ki umaat mein say hoon , mayray rahain kyun kaam band
wastay Jis shah kay Ghalib , gumba'daay baydaar khulaa

Re: Doing small washroom while standing

Kar ke Ghayal Mujhey...Uss ka bhi bura haal hua
Uski Zulfein bhi na "suljheen" Meri " Uljhan" ki tarah