I was listening to this famous song written by: Jawed Akhtar sung by NFAK.
**Aap se mil ke hum kuch badal se gae, shair padhne lage gungunanay lage
Pehle mashoor thi apni sanjeedgi, ab to jab dekhiye muskrane lage
**
Kiya waqai muhabbat insaan ko badal daalti hai… Kia muhabbat udaas dilon pe mosam e bahar ki tarah warid hoti hai?
Kiya ek shakhs iss cheez pe qadir hota hai ke aap ke ird gird ka mahol badal daale… Jiske hone se sab acha lagay sab se milna acha lagay aur jab wo na ho tau halat aisi ho jaise Nasir Kazmi ne kaha:
**
Naye kapde badal kar jaon kahan, aur baal bana kis ke liye
Wo shakhs to shehr hi chhor gaya, main bahar jaon kis ke liye**
Aur kia ek shakhs (jise aap chahte the) ke chale jane se, aap ke chahne walon ki ihmiyat bhi khatm hojati hai:
**
Wo Shehr main tha to us keliye auron se bhi milna padta tha
Ab aisay waisay logon ke main naaz uthaon kis ke liye**
U ne kabhi Shora e Gupshp main hamari takhleeqaat nahin padhi?
Waise on a serious note what do you think about the topic of the thread. Have you observed people changing when they fall in love or when someone deaer to you leaves you?
Yeh kis ne kaha that. Humne Ahmed Nadeem Qasimi ko yeh kehte hue suna hai:
mujh ko dushman key iradon pe bhi piyaar aata hai
teri ulfat ne mohabbat meri aadat kar di
Jisnay thoray waaday jisnay toora dil,
Jeena mushkil ho gaya daidi kitni mushkil,
Us baiwafaa say ab har rishta toor daingay,
Muhabbat chor daingay ham
Muhabbat chor daingay ham
Mar jayen gay par ab us ka naam nahi lain gay,
Jisnay toora dil usay ilzaam nahi daingay,
Dil ki batoo ma akar yah dhokay khaye hain,
Ab apnay dil say ham koi kaam nahi lain gay,
Us baiwafaa say ab har rishta tor daingay,
Muhabbat chor daingay ham
Muhabbat chor daingay ham...