Re: Does change in religion automatically lead to change in Culture?
aap to sab kuchh jaante haiN aur agar nahiiN to kisii maulvii se ruj’oo kareN! ![]()
janaab, aajkal ke zamaane ke musalmaanoN ke kiahii kahne…deen ko mazaaq banaa rakkhaa hai…har banda deen se door rah kar samajhtaa hai k deen ke bahot qareeb hai…deen ke naam par kia kia nahiiN ho rahaa…72 firqe aise hii nahiiN ban gaye. aaj agar ham Ghair Islamii culture ko Islamii culture banaa baiThe to is meN Islam kaa koii qusoor nahiiN…hamaaraa qusoor hai k ham ne Qur’aan aur aHaadees ko chhoR kar na jaane kin kin baabaaoN aur na jaane kin kin qabroN ko poojne lage.