Do you miss anyone on GS ?

Re: Do you miss anyone on GS ?

Originally posted by ATA
Acawww :bummer:

Chicha Abdul Quddoos Samosay Waalay kaha kartay thay, kay baita jab bhi chalo to zamanay ko sath lay kar chalo, phir Dunnia yaad rakhaigi un rah darioN ko jo tum nay banain…
Agar zamanay k sath chalogay to pir uss bheer main kisi bhi waqt gumm hojaogay… aur phir koi yaad karnay waala bhi na hoga …

Iss liay main nay socha k\hay k zamanay ko sath lay kar chalooN, zamanay k sath nai, isi liay main China kay pass aik new river channel bana raha hoon, wahan sab ko bulaoonga phir pooray zamanay ko sath lay kar chaloonga :hula:

hehe Gaya waqt wapis nai aata DDani :stuck_out_tongue:

Quote: Makhdoom Muhiuddeen
"Hayat le ke chalo, kaaenaat le ke chalo
Chalo to saare zamane ko saath le ke chalo"


Quote: Hafeez Hoshiarpuri
"Muhabbat karne waale kam na hongey
Teri mehfil mein lekin hum na hongey"


Quote: Mir Taqi Mir
"Dhoond te phiriyo phir hum ko tum kuchon mein baazaaron mein
Ashaar hamaare jab sunkar ji khoob karega milne ko"

Quote: Mirza Ghalib
"Mehrbaan hoke bulaa lo mujhe chaaho jab bhi
Main gaya waqt naheen hoon keh phir aa bhi na sakoon"