Koi gaisoo koi aanchal humein aawaaz na de
Ab kisi aankh ka kaajal humein aawaaz na de
Hum jo khamosh tu khamosh hi rehne do humein
Koi aahat koi hulchul humein aawaaz na de
Hum ne tanhaee ko mehboob bana rakha hai
Raakh ke dhair mein shouloon ko daba rakha hai…
Raakh ke dhair ko bikhra gaee jab taiz hawa
Sooni sooni si fizaro’oun mein dhuwaan uthne laga
Aanch dene ko ubhar aaee dabi chingaari
aur bharakta huwa shoula bhi nazar aane laga
Kis qadar aab ko seenay mein chupa rakha hai
Raakh ke dhair mein shouloon ko daba rakha hai…
Soye jazbaat ko utha ke yeh kya kar bethay
Aaj hum josh mein yun aa ke yeh kya kar bethay
Tak rahe hain sabhi hairan nigahoon se humein
Hum bhi hairaan hain ghabra ke yeh kya kar bethay
Kya huwa thaa humein kyon hosh ganwa rakha hai
Raakh ke dhair mein shouloon ko daba rakha hai…
Phir pukaara hai muhabbat ne humein kya keejay
Dee sada husn ki jannat ne humein kya keejay
Jis ke saaye se bhi aksar humein dar lagta thaa
Choo liya phir ussi hasrat ne humein kya keejay
Hum ne jazbaat se daaman ko bacha rakha hai
Raakh ke dhair mein shouloon ko daba rakha hai…
Raas aaye na kabhi pyar ke halaat humein
Dil ki is bheer mein har baar huwi maat humein
Kya kahenge kahaan jaayenge kidhar jaayenge
De gaee jab bhi zara dard yeh mulaqaat humein
Bas issi soch ne deewaana bana rakha hai
Raakh ke dhair mein shouloon ko daba rakha hai…
Hum ne socha tu bahut kuch thaa huwa kuch bhi nahee
Dil tu be-taab thaa dilbar ne kaha kuch bhi nahee
Khud se shikwa hai humein hum bhi tu kuch keh na sake
Un ki yaadoon ki qasam un se gilla kuch bhi nahee
Sharm ka pardah nigahoon mein rakha hai
Raakh ke dhair mein shouloon ko daba rakha hai…
Hogaee un se muhabbat ki hansi bahut huwi
Aisa lagta hai ke weerane mein barsaat huwi
Apne hi aap se anjaan bane phirtay thay
Un se mil kar hi kaheen khud se mulaqaat huwi
Warne hum ne tu yunhi khud ko bhula rakha thaa
Raakh ke dhair mein shouloon ko daba rakha hai…
Hum ne jo khwaab sajaaye woh humein maar gaye
Hum ne is paar rahe aur na us paar gaye
Bad-naseebi ka yeh aalam na kisi per guzray
Do qadam per hi thee manzil per qadam haar gaye
Raakh ke dhair mein shouloon ko daba rakha hai…