Re: Do jinns exists
Jaab koi Muslim hoota hai os se in chizoo ka iqrar lia jaata hai
Allah Malaika Anbiya Kutub
Allah
Allah ke zaat ko hum samjh nahi saktay lakin sifaat humhe zaray main nazar aty hai.Allah ek hai aur wohi pori kainaat ko chala raha hai.is ke qanoor se insaan ko rizaq milta hai.Is ke paida karda tammaam malaika insaan ko sajda kar rahi hai
Malaika
Har qoowaat ka naam hai jis main is se raaz posida hooty hai Allah nay Itminan aur sakooon ko bhi malaika kaha hai.
Anbiya
Sab ke Sab bashar tah in sab ke taleem ek thi.Anbiya ka silsila Khataam hooo gaya ke abb humhe kisi sahray ke zarooraat nahi.
Kutub
Kutub main sirf ek kitaab hi apni shih Halaat main is main na tarmim hoye na kami bashi yea kitaab aaj bhi aisi hai jaisay hazoor per nazil hoye thi.Baqi Allah ke jaanaab se send k hoye tamam books change hoo gaye hai.Quran per imaan hi Muslim hoonay ke paahchaan hai.
Akhiraat.
Is per Imaan yea hai ke marnay ke baad humhe Allah ke zamnay jaana hai.Aur waaahaan sirf humhare Amaal ka hisaab hoo ga.Hum apnay Amaal ke khud zimaydaar hai kion humhe Sahab e Ikhtiyaar aur Irada Paida kia gaya hai.
Ayee daikhain ke Hum Muslim nay hi kia kiya.
Sab se pahlay tu humnay Allah ke sifaa bhut saray Khuda paida kar liye.MAzhabi paishwayaat nay bhut saraay Paighambaar paida kar liye aur in ke bhut sari Kutub Ko quran hi ka darja day dia balkay is se bhi zada agye gaye In ke books main jo likha hai woh quran ke ayaat ko bhi Mansook kar sakta hai.Abb sab firqoo ke pass Quran tu hai hi nahi sirf apni mazhabi paishwayaat ke books aur tu aur in sab ko Hazoor pbhu ke alwaz kah dia ALlah maaf karay aisay muslim se.Abb in hi books per faisla kia jata hai Imaan ka.Kisi dosray ko kafir kahna har firqay ke Asaas hai Sunni ke nazdiak shia kafir hai aur shia ke nazdik Sunni.
Agar koi in firqoo se bahar nikalta hai Allah ke quran ko Hoojaat manta hai app yea soon kar hairaan hoon gaye ke Woh in firqooo main kisi ek kay nazdik nahi Sab ke nazdik kafir hoo jata ek dosray ko kafir kahnay walay yahaan ek sath jamaa hoo jaty hai jo pahlay ek dosray ko kafir kahtay thai.(See MMA WOH SIRF IQTADAAR KE LIYE EK JAGAH JAMA HAI)
Jaab koi naya naya muslim hoota hai is se In tamam chizoo ka iqrar liya jata hai.Jaab woh in ka iqrar kar laita hai tu muslim hai.Halaankay abhi os nay islam ko samjha bhi nahi.
Kutab e riwayaat ko daikhain Ajeeb dastaan paisah karty hai.Chistani dastaanien.Apni akaal ka Thapa lagar kar quran ke ayat se chistani mafoom paisah karty hai.aur yea kahtay hai ke yea sab theek hai aur hadees ka inkaar sab hi karty hai koi aisa Alim nahi hai jo Hadees se inkaar na karain IQrar sirf is ka hi kareen gaye jo in ke fiqa se talooq rakhty hoo Jahaan se is ne taleem hasil ke hoo.
Ghoor aur fikaar ke dawaat Quran hi daita hai.In ke fiqa main Mazhab ka akaal se koi talooq nahi.
Duniya main itny muslim bastay hai lakin sab ke sab Mazhabi paishwayaat ko Mazhab mantay hai Quran ko nahi Kia is se hum yea Akhaz kar lain ke sab kafir hai nahi janaab humhe is ke zaroraat nahi.Is ka faisla Allah ko karna hai.Har insaan Ezaat aur tehseeen ka mustahkaam hai.Chahy woh Allah per imaan hi na laye.
Quran muslims ke liye nahi Insaanoo ke liye aya tha.Muhammad(pbuh)sirf arab ke liye nahi Pori insaniyaat ke liye ayee thai.aur app qayamaat taak hi ke liye insaan ke rahnomi ka zariya hai.App ke shariyaat quran main Mahfooz hai.Bus humhe Allah is shriyaat per chalnay ke Toofeeq day.
Zaara daikhain ghoor karain Kia hum Allah Mummad Aur Quran ke shriyaat per chaal rahi hai.YEa apnay Khud sakhta aur paida karda nabiyoon ko Hoojaat maan rahi hai.Aur Ghair Quranai qawaneen ko Quran ka darja day rahi hai