**Do ghont ka ay saqi ’ ilzam nahi loon ga
Main tishnaa labi day kar ik jaam nahi loon ga
Izhar-e-tmanna hi toheen-e-tamanna hai
Tum khud hi semajh jao main naam nahi lon ga
Jo sham jgati ho jo subha sulati ho
Wo subha nahi lon ga wo shaam nahi lon ga
Ay ehl-e-chaman ! Rakh lo ye tohfa-e-gul apna
Muj ko mera haq day do inaam nahi lon ga
Main raah k sayon se khairat-e-sakoo’n kya lon
Manzil se bhi mangy ka aaram nahi loon ga**