Diye k saath jal kar dekhti hoon

** Diye k saath jal kar dekhti hoon,
mom se aansoo ban kar dekhti hon..

dar lagta hai zindagi se magar,
main zinda reh kar dekhti hoon.

chup rahon to tanhaye bolti hai,
mai khamosh ho kar dekhti hon.

mujhko dhoondaygi dunia ya nahi,
apna nishaan kho kar dekhti hon.

saaye ki tarah jo saath tha mere,
us ki parchaaye ban kar dekhti hon..

hia meri haqeeqat zarray ki tarah,
main qatra ban kar dekhti hoon..

meri dua main asar nahi phir bhi,
main haath phaila kar dekhti hon..

zindagi kisi mor pe rukay gi kabhi,
main musafir ban kar dekhti hon..

sadion ki piyaas hai ye aai zindaghee,
main sehra ban kar dekhti hon..**

Re: Diye k saath jal kar dekhti hoon

Buhat Achcha andaaz hay daykhnay ka ... nice sharing :-)

Re: Diye k saath jal kar dekhti hoon

nice one