diyaar-e-ghair main kaise tujhay sadaa detay
diyaar-e-ghair main kaise tujhay sadaa detay
tu mil bhi jata to aakhir tujhay gu’nwa detay
tumhi nay ham ko sunaya na apna dukh warna
dua woh kartay kay ham aasmaa’n hila detay
hamain yeh z’am raha abkay woh pukaaraingay
unhain yeh zid thi k har baar ham sada detay
woh tera gham tha kay taseer meray lehjay ki
kay jisko haal sunatay usay rula detay
tumhain bhulana hi awwal to dastaras main nahi!
jo ikhtiyaar bhi hota to kia bhula detay?
tumhari yaad nay koi jawaab hi na diya
meray khayal k ansoo rahay sada detay
sama’atoon ko main taa umer kosta syed
woh kuch na kehtay magar ho’nt to hila detay
Syed Wasi Shah