***in jheel si gehRi aankhoon main ik sham kahin aabad to ho ***
is jheel kinaRay pal do pal
ik khawab ka neela phool khilay
wo phool baha daiN lehRoon maiN
ik rooz kabhi hum sham dhalay
is phool k behtay rangoon maiN
jis waqt laRazta chand chalay
***us waqt kahiN uN aankhooN maiN is basray pal ki yaad to ho ***
***in jheel si gehRi aankhooN maiN ik sham kahiN aabad to ho ***
phiR chahay omer samander ki
heR maoj paRaysha’N ho jaa’ey
phiR chahay aankh daRechay say
heR khawab guRayzaa’N ho jaa’ey
phiR chahay phool k chehRay ka
heR daRd noma’yaa’N ho jaa’ey
***is jheel kinaRay pal do pal wo roop nagaR eejad to ho ***
***din raat k is aa’eynay say wo aks kabhi aazad to ho ***
in jheel si gehri aankhoon main ik sham kahin aabad to ho