Din ko mismaar hoay,raat ko taameer hoay
Khwab hi khwab faqat rooh ki jageer hoay
Umar bhar likhtay rhay phir bhi varq sada raha
Janay kya alfaz thay jo hum say na tehreer hoay
Yeh alag dukh hai kay hain teray dukhon say azad
Yeh alag qaid hai hum kion nahi zanjeer hoay
Deeda-o-dil main teray aks ki tashkeel say hin
Dhool say phool hoay rung say tasveer hoay
Kuch nahi yaad shab-e-ruks ki mehfil main faraz
Hum judaa kis say hoay kis say baghalgeer hoay