*Din guzar gaya aitbaar mein
Raat kat gayi intezaar mein
Woh mazza kahan vasl-e-yaar mein
Lutf jo mila intezaar mein
Unki ek nazar kaam kar gayi
Hosh ab kahan hoshyaar mein
Mere kabzey mein kaynaat hain
Main hoon aapke ikhtiyaar mein
Aankh to uthi phool ki taraf
Dil ulajh gaya husn-e-khaar mein
Tujhse kya kahein kitne gham sahey
Humne bewafa tere pyar mein
Fikr-aashiyan har khizaan ki
Aashiyan jala har bahaar mein
Faiz Ahmed Faiz*
Thank You…
~Amarbail
~undefined
~jasmeen
~Lamhay
~AsSweetAs
wah ji wah kia baat hay *** mazaa a gaya ***
Re: ~* Din Guzar Gaya Aitbaar Mein *~
Its beautiful, thanks for sharing :k: