Ajab Alum main kati umar humari sari
dilon pe raaj kia phir b pyar ko tarsay
Ankhain lahu hain khwab k manzar ko kaat ker|
pathar sa ho gaya hoon main pathar ko kaat ker
wo ek ajeeb shakhs tha mere wajood main
bahir ko jordta raha andar ko kaaat ker
Jo tum ne bakhshay unhi rat jagon pe ghaur kero
phir us k baad mere hoslon pe ghaur kero
safar ka sab se kathin mord aur main tanha
bichardnay walay meri wehsaton pe ghaur kero
main tanha tha magar itna nahi tha
tere bare main jab socha nahi tha
teri tasveer se hoti thein batein
mere kamray main aeina nahi tha
suntay hain k mil jati hai har chez dua se
ek roz tujhay mang k dekhain gay khuda se