Dill usko PehChaan gaya ho Jaise

Dill usko PehChaan gaya ho Jaise
Apni Ghalati Maan gaya ho Jaise

**

Bachne ka imkaan gaya ho Jaise
Maqtal mein Nadaan gaya ho Jaise

Phir mud mud kar Dekh raha tha Mujhko
Uska hi Armaan gaya ho Jaise

Sannate bhi Goonj rahe hein Dill mein
Ghar ka sab Samaan gaya ho Jaise

Deewaroon se Dhoop Sarakti hai yun
Aane wala Mehmaan gaya ho Jaise

Uske aage kah na Saka Haal-e-Dill
Tham koi Toofaan gaya ho Jaise

Ab mein hoon Tanha na use koi Gham
Dono ka ahsaan gaya ho Jaise

Duniyadari seekh gaya mein Thodi
Wo bhi sab KuCh Jaan gaya ho Jaise

Tab se ab tak Roz Bhulata hai Dill
Ulfat mein Imaan gaya ho Jaise**

buhut khoob :)

Re: Dill usko PehChaan gaya ho Jaise

buhut aa,laaa

Re: Dill usko PehChaan gaya ho Jaise

cute

Re: Dill usko PehChaan gaya ho Jaise

ok he :k:

Re: Dill usko PehChaan gaya ho Jaise

Thank U Guys